Music Video

Featured In

Credits

PERFORMING ARTISTS
Umair
Umair
Performer
Talha Anjum
Talha Anjum
Performer
COMPOSITION & LYRICS
Umair
Umair
Composer
Talha Anjum
Talha Anjum
Lyrics
PRODUCTION & ENGINEERING
Umair
Umair
Producer

Lyrics

Tou chal ab muskura dey Ese rou kar dil halka ho ya na ho, ab kia pata hai? Zindagi ko gale se lagalay Ye pal beet kar nahi ayenge wapis, humein ye pata hai Mushkil hai beshak zindagi, par thora sa muskura ley Tu mujhe pareshan si lagay Apnay he ghar may mehmaan si lagay Parhoon tujhe, tu imtehaan si lagay Kabhi tu itni khush kay itmenaan bhi rahay Tu khuaab dekhti hai ab kyu tol tol kar? I know wo tera boy hai, but he fucks around with others Aur tu thak gai hai usse ye sab bol bol kar Tu paani peeti sharaabon mein ghol ghol kar Dekh baarish tu, khuda ki qudrat boond boond par Zamana dekh ai khushiyan dhoond dhoond kar Tujhse baat karoon, jaan-e-man, main kis umoor par? Tu khud hi ek mazmoon, ek fasana, ek ghazal Kitaabi zameeni main rakhoon choom choom kar Tu khuaab may tou nazar may nahi dur-dur tak Jinko hai tu mayassar unko nahi teri qadar Jinko nahi tu mayassar wo sirf tere muntazir Par dil ko tum karna chhota zara bhi nahi Ye meri iltija hai, mashwara he nahi Tujhe lagta hai tujhe sab pata hai, meri jaan Tu kitni khoobsurat, tujhe ye pata he nahi Tu jo chahay karlay, tujhe rab ne di wo majaal Tu sar uthakay saamna kar uthein jab sawaal Tujhme hain sab jawab, karde sab ko la-jawab tu Rab ki ek takhleeq tu, rab ka hai ek kamaal tu Tou chal ab muskura dey Ese rou kar dil halka ho ya na ho, ab kia pata hai? Zindagi ko gale se lagalay Ye pal beet kar nahi ayenge wapis, humein ye pata hai Mushkil hai beshak zindagi, par thora sa muskura ley Sach batao, kia tum humein pehchaantay ho? Dua'on mein khuda se tum kia maangtay ho? Kabhi dafna ke aye ho kisi apnay ko? Kia mitti daal kar tum bhi haath jhaartay ho? Mein kabhi nahi akela, but I'm always lonely Mein chala hoon talaash may yahan sou-sou meel I do this rap shit for my dead homies Yaad rehgai hain baatein saari, what they told me Tou meri tarah tu bhi kamar bandh Zindagi ki mushkil'ein khud karni hain asaan Aur jo abhi hua nahi uski fiqar kia karein Ye aadatein ajeeb hain Mein ese he tou nahi kehta na, insaan bhi kya cheez hai Falak hai, zameen hai, beech may umeed hai Khuda ki madad qareeb hai So you just have to be strong And, baby, we will see through this Tou chal ab muskura dey Ese rou kar dil halka ho ya na ho, ab kia pata hai? Zindagi ko gale se lagalay Ye pal beet kar nahi ayenge wapis, humein ye pata hai Mushkil hai beshak zindagi, par thora sa muskura ley
Writer(s): Talha Anjum, Umair Lyrics powered by www.musixmatch.com
instagramSharePathic_arrow_out