Lyrics

Meri chashme alam namnaak karde Mujhe aalaishon se pak karde Mujhe kuch bhi nahin darkar ya rab Ghulam e sayyed e laulak karde Hum hain durvesh na jagir nazar rakhte hain taaj rakhte Na lalo gauhar rakhte hain Sainkdo aib sahi ek hunar rakhte hain Bekhabar lakh sahi Teri khabar rakhte hain Tazeem se leta hai khuda naam e Muhammad Kya naam hai e salle allah naam e Muhammad Allah kare uspe haraam atishe do zakh Jis shakhs ke ho dil pe Likha naam e muhammad Rab be farmaya meri kudrat ki hadd koi nahi Aur mere mehboob ki rehmat ki hadd koi nahi Jab malak samjhe nahi to aadmi samjhega kya Aamina ke laal ki azmat ki hadd koi nahi Mangte khali haath na laute Kitni mili khairat na poocho Unka karam Phir unka karam hai Unke karam ki baat na poocho Mangte hain, karam unka sada mang rahe hain Din raat madine ki dua mang rahe hain Husn ko jinke jagmat walon Naam hain jinka kamli wala Unke mangte hain Samajh ye rakhte hain Mehshar mein muh dikhane ki bas Unke mangte hain Naaz jis baat ka hai Wo baat yahi hai Ki hum unke mangte hain Hum hain gulaam unki gulaami pe naaz hai Pehchaane hai ye jahan Jis naam o nishan se hum Unke mangte hain Nigah e garm se na dekh humko e do zakh Kya pata nahi ki hum kiske mangte hain Do zakh ne humko dekh kar Maalik se yun kaha Ae malik chchod Unke mangte hain Mangte hain karam unka sada mang rahe hain Din raat madine ki dua mang rahe hain Saari daulat khuda ki madine mein hai taajdar e zamana madine mein hai Jinke khatir banaye gaye do jahan Wo rasool e yagana madine mein hai Tujhko waiz Mubarak haram ki faza Main mukhalif nahin hun tere zauk ka Ab yahan mera sajda ho kaise Ada Yaar ka aastana madine mein hai Aftaab e do aalam madine mein hai Aamina ka dulara madine mein hai Husn poore ka poora madine mein hai Ishq saare ka saara madine mein hai Kam mang rahe hai na siwa mang rahe hain Jaise hai gani waise ata mang rahe hain Khud bheekh de Au Khud bole mangton ka bhala ho Wo to Aisa hai gani Zamane ka daata Magar ghar mein faaka Khudai ka maalik Magar pet khali Wo to aisa hai gani Zara unka duniya mein rehna to dekho Wo patthar ka takiya Aur kali kamliya Wo to Aisa hai gani Koi mere mehboob sa duniya mein nahin hai Baitha hai chatai par magar arsh nasheen hai Wo to aisa hai gani Yun kho gaye sarkar ke altaafo karam mein Ye bhi to nahi hosh ki kya mang rahe hain Har naimat e quonain hai daman main hamare Hum sadka e mehboob e khuda mang rahe hain Sarkar ka sadka meri sarkar ka sadka Ye zameen ye aasman Ye makan la makan sab Meri sarkar ka sadka Dono jahan ka noor Muhammad ke roop mein Quran ka shaoor Muhammad ke roop mein Allah ka zahoor Muhammad ke roop mein Sach hai ye taghayyur e duniya khuda se hai Magar ye qaynat fakat mustafa se hai Kalam e pak ki azmat mere huzur se hai Khuda e pak ki shohrat mere huzur se hai Wo chahe Husn ho yusuf ka Chahe ishqe bilaal Mili sabhi ko ye azmat mere huzur se hai Chamaninatan ka gosha gosha Kaliyon ki chatak phoolon ki Mehak Akash se lekar dharti tak Zarron ki dhamak taaron ki chamak Shabnam ka ye moti batsana Shakhon le lachak chidiyon ki chatak Saaki ki nigah e mastana Sheeshe ki thanak sagar ki chchalak Har shai ba khushi hai nagma sara Sarkar e do alam ka sadka Us do jag ke matwale ka ye faiz hai kamli wale ka Sarkar ka sadka meri sarkar ka sadka Mohtaj o gani shah o gada mang rahe hain
Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan, Abdul Sattar Niazi Lyrics powered by www.musixmatch.com
Get up to 2 months free of Apple Music
instagramSharePathic_arrow_out